Romantic Dialogues By SRK-The King Of Romance
Most Romantic Dialogues By SRK – Try asking any Bollywood fan the meaning of Romance and the only answer you would get is ‘Shah Rukh Khan’ aka the king of romance. Be it ‘Aman’ from ‘Kal Ho Na Ho’ or ‘Raj Malhotra’ from ‘Mohabbatein’, Shah Rukh has proved time and again that he is the perfect prince charming for all the ladies out there.
So today we list the most romantic dialogues by SRK because why not?
Jab Tak Hai Jaan
Teri aankhon ki namkeen mastiyaan, Teri hansi ki beparwah gustaakhiyaan, Teri zulfon ki lehraati angdaaiyaan, Nahin bhoolunga main, Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan…
Kuch Kuch Hota Hai
Pyaar dosti hai. Agar woh meri sabse achi dost nahi ban sakti toh main usse kabhi pyaar kar hi nahi sakta. Kyunki dosti bina toh pyaar hota hi nahi.
Veer-Zaara
Agar kahi kabhi bhi koi dost ki zaroorat pade toh bas itna yaad rakhna ki sarhad paar ek aisa shaks hai jo aap ke liye apni jaan bhi de dega.
Chalte Chalte
Yaad rakhna ki duniya ke kisi kone mein koi khush hai, kyun ki tum khush ho.
Om Shanti Om
Itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai, ki har zarre ne mujhe tumse milane ki koshish ki hai. Kehte hain agar kisi cheez ko dil se chaaho, toh poori kaynath tumhein usse milane ki koshish mein lag jaati hai…
Also Read: Romantic Shayaris for your special one
Dil Waale Dulhaniya Le Jaayenge
Mujhe chahiye ek aisi ladki, jise dekhte hi dil ki har aarzoo, saare khwaab, saare rang zinda ho jaaye. Abhi aisa hua nahin hai, lekin ab aisa lagta hai jaise koi andekha anjaana chehera, baadalon mein se pukaar raha hai. Pata nahin yeh baadal kab hatenge, aur kab woh pukaarne waali saamne aayegi…
Rab Ne Bana Di Jodi
Main jab bhi aap ko dekhta hoon mujhe Rab dikhta hai. Rab ke samne matha tekta hoon toh dil ko sukoon milta hai. Aap ko hanste hue dekhta hoon toh dil ko aur bhi sukoon milta hai. Toh main toh aapko Rab se bhi zyada pyar karta hoon.
Kabhi Khushi Kabhi Gham
Dosti keh alaava bhi kuch rishte hote hain. Kuch rishte joh hum samajhte nahin, kuch rishte jo hum samajhna nahin chahte. Kuch rishte jinka koi naam nahin hota, sirf ehsaas hota hai. Kuch rishte jinki koi deewar nahin hoti, sarhad nahin hoti. Aise rishte jo dil ke rishte hote hain, pyar ke rishte hote hain, mohabbat ke rishte hote hain…
Mohabbatein
Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai, har mod aasan nahi hota, har mod par khushi nahi milti…. Par jab hum zindagi ka saath nahi chodte to hum mohabbat ka saath kyon chhode.
Kal Ho Na Ho
Pyar to bahut log karte hai lekin mere jaisa pyar koi nahi kar sakta kyun ki kisi ke pass tum jo nahi ho.
Got anything to add to the list? Comment below.